CBSE (Central Board of Secondary Education) ne finally CTET December 2025 ke liye official notification release kar diya hai. Ye exam har saal lakhs of students dete hain jisme pass hone ke baad aapko Government aur Private schools me teacher banne ka golden chance milta hai. Is baar ke notification me kuch bade updates aaye hain, specially Passing Marks aur Application Dates ko lekar.
Application Dates
CTET December 2025 ke liye online registration 11 September 2025 se start hoga. Candidates official website ctet.nic.in par jaa kar apna form fill kar sakte hain. Application ka last date October ke end tak expected hai.
Passing Marks Change
Sabse bada change is baar ke notification me passing marks ko lekar hai. Ab tak students 82 marks laake pass ho jaate the, lekin December 2025 session se ye rule change kar diya gaya hai. Matlab ab candidates ko qualify karne ke liye zyada marks ki zarurat hogi.
Exam Pattern
CTET December 2025 me do papers conduct honge:
- Paper I – Classes 1 to 5 ke teachers ke liye.
- Paper II – Classes 6 to 8 ke teachers ke liye.
Dono papers ka duration 2.5 hours hoga aur questions MCQ (Multiple Choice Questions) format me honge.
Application Fee
- General/OBC – ₹1000 (Single Paper), ₹1200 (Both Papers)
- SC/ST/PH – ₹500 (Single Paper), ₹600 (Both Papers)
How to Apply (Step by Step)
- Visit karein official website – ctet.nic.in
- “Apply Online” link par click karein.
- Registration complete karen aur form fill karein.
- Required documents upload karein.
- Application fee online pay karke form submit karein.
- Confirmation page ka printout save karna na bhulein.
Why CTET is Important?
CTET qualify karna ek minimum eligibility hai jo Government schools (KVS, NVS, Central Schools) aur kai State aur Private schools me teacher recruitment ke liye zaruri hota hai. Isliye is exam ka clear hona ek career defining moment ho sakta hai.